10 November, 2008

Wo to majborioon main lipti hain

Wo to majborioon main lipti hain
Apney shiddat bharey khyaloon main
Apney ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyaan bewafaa nahi hoti
Per Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Any waley naye azaboon se
Zardurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hot
Kyuon ki majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apney pyaar se apney saye se
Apney rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!

Aansoo....

Doston..

Aaj Ek nazm likhi .. jisse bahut jald post karungi..
Uss nazm ko likhte hue ek khayal aaya zehan mein
Ki Aansu hum sab ki zindagi mein kya jagah rakhte hain!!

Zaruri nahi ye hamesha gham ki nishani hon..
Kabhi kabhi ye uss jazbe ka ehsaas bhi kara dete hain jisse hum Khushi
kehte hain..

Ussi nazm ko likhte hue maine kuch lines
Ek khayal ki tarah likhi hain..
jo aap sab k saath share kar rahi hoon yahan

Kuch Deewane Aansu
Ishq ke daayre mein
Apna muqaam paa lete hain
Chahat ke kisson mein
Apni zindagi ka
Har hissa baha lete hain
Inhe hum kabhi
Jo mitaana chahein
Mohabbat mitne lagti hai
Inke Ehsaas Bina
Khushiyon ki aandhi mein
Wafayein bujhne lagti hain!!

Ummeed hai sahi likhi hongi..

Watan hamara to aik gulshan hay

Watan hamara to aik gulshan hay
Aur kyari hamari Aazadi
Is pe Tan Man nisar ho Apna
Hum ko jaan say hy pyari Aazadi
Is k Khaitoon Khalyanoon Shehroon main
Is ky drya behti nehroon Main
Goonjta hay sirf nara-e-Akbar
Is pe takya hay sari Aazadi
Qaim iska waqar rakhna hay
Aur yeh aitbar rakhna hay
Sada lagay gi dushmanoon k seenoon pe
Bn k aik zarb kari Aazadi
Iqbal ka dlnasheen khayal hay yeh
Johad Quaid ki aik misal hay yeh
Aur shaheedoon k khoon ka tohfa
Hum pe hay qarz bhari Aazadi

Watan si koi baat kaheen aur nahi hay
Gulshan si koi baas kaheen aur nahi hay
Jugnoo k chamknay k liya sirf raat hay kafi
Khilnay k liya phooloon k barsat hay kafi
Aazadiya izhar ki sooghat hay kafi
Aik honay ka ahsas kaheen aur nahi hay
Dolat ki gerchah yahan farawani nahi hay
Punjab ka pr aur kaheen pani nahi hay
Quaid kisi aur jagah bani nahi hay
Yeh pyar yeh ikhlas kaheen aur nahi hay
Dherti bhi aik jesi Aakash bhi hay wesa
Phooloon ki rango boo ka libas hay aik jesa
Seep main hain mooti almas aik jesa
Apnoon ka yeh aflas kaheen aur nahi hay

Dekhoon To Nazar Badal Raha Hai

Dekhoon To Nazar Badal Raha Hai,
Kyun Baat Zubaan Se Keh Kar,
Koi DIL Aaj Bhi Haath Mal Raha Hai, Raaton Ke Safar Mein Weham Sa Hai,
Ye Main Hoon Ke Chaand Chal Raha Hai, Hum Bhi Tere Baad Jee Rahe Hai,
Aur Tu Bhi Kahi Behal Raha Hai, Samjha Ke Abhi Gaye Hai dost,
Aur DIL Hai Ke Phir Machal Raha Hai, Phele Si Wo Roshni Nahi,
Ab Kya DARD ka Chaand Dhal Raha Hai.

Sawan aya tum naheen aye

Sawan aya tum naheen aye
Rah gaye hum to aas lagaye

Pichali baharon main
tum se mile the
Jin peroon k niche
Hath rakhe khud bikhraye
Gum sum akhiyaan mitey

Un peroon par
jhuk aye hain
Phir patjhar k saaye
Sawan aya tum naheen aye

Theen yehi wadiyaan
The yehi parbat
Tha yehi pyaar ka mousam

Shakhon main the
phool suhane
Pholon par thi shabnam
In ko to hum bhul chuke hain
Tum ko bhul na paye

Sawan aya tum naheen aye
Rah gaye hum to aas lagaye

Bhari Mehfil Mein Tanha Kar Jati Hongi,

Bhari Mehfil Mein Tanha Kar Jati Hongi,

Yeh Duuriyan Tujhe Bhi Tarpati Hongi,
Beete Lamhon Ki Parchaiyan Rulati Hongi,

Woh Waade Woh Qasmein Yaad Aati Hongi,
Tere Zameer Ko Zara To Hilaati Hongi,

Jo Mujhe Bhool Ke Ho Bhi Gae Duniya Mein Magan,
Teri Sakhiyan To Tujhe Mera Haal Sunati Hongi,

Itna To Pathar Na Tha Dil Tera Kabhi Bhi,
Chahat Ki Kuch Boonden To Uss Mein Baqi Hi Hongi.

Soo baras ki zindagi main aik pal

Soo baras ki zindagi main aik pal
Tu agar kar le koy ache amal
Tuj ko duniya main mile ga us ka phaal
Aaj jo kuch boye ga kaate ga kal

gham ko sene se lagana sekh le
gair ko apna banana sekh le
Dard sah kar muskarana seekh le
Choor khudgarzi wafa ki rah chal
Aaj jo kuch boye ga kaate ga kal

Aik aadam ki sabhi olaad hain
Kuch to khush hain aur kuch nashad hain
jurm un ka kiya hay jo barbaad hain
Tu zamane k asuloon ko badal

Dusaron k waaste zinda raho
Jaan bhi jaye to hans kar jaan do
Mout k aage bhi sharminda na ho
Tu sada insaniyat rah chal
Aaj jo kuch boye ga kate ga kal

Ajnabi hai to mery zehan main rehta q hai

Ajnabi hai to mery zehan main rehta q hai,
Wo jo pather hai to sheeshon ka maseeha q hai,

Wo hwa hai to guzar hay vo hwaun ki trah,
Wo samunder hai to thehra rahy behta q hai,

Mery aangn main nahi koi umeedon ka gulab,
Phir ye mausam mery aangan main utarta q hai,

Jis k chehry pe saji jhoot ki tehreerain hain,
Dil ussi shakhas k waadon se behlta q hai,

Ye mera dil ye mausam ye anjan sa dil,
Phir najany tery naam se dharkta q hai,

Neele neele amber par

Neele neele amber par
Chaand jab aye pyaar barsaye
Hum ko tarsaye
asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye

Unche unche parbat
Jab chumte hain amber ko
Piyasa piyasa amber
Jab chumta hay sagar ko
Pyaar se kasne ko
Bahoon main basne ko
Dil mera lalchaye
Koy to a jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye

Thande thande jhonke
Jab baloon ko sehlayeen
Tapti tapti kirneen
Jab galoon ko chu jayeen
Sanson ki garmi ko
Hathon ki narmi ko
Mera man tarsaye
Koy to chu jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye

Cham cham karta sawan
Bundon k baan chalaye
Satrangi barsaton main
Jab tan man bhiga jaye
Pyaar main nahane ko
Duub hi jane ko
Dil mera tarpaye
Khuwab jaga jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Neele neele amber par

Mout ke aagosh mein jb tak so jati hy MAA,

Mout ke aagosh mein jb tak so jati hy MAA,
tu kahin ja k thora sa sakun pati hy MAA,
Rooh k rishton ki ye gehrayn tu dekhye,
chot lagti hai hume or chilati hy MAA,
Mangti hy kuch nahe apny liye Allah sy,
Apnay bacho k liye daman ko phelati hai MAA,
Pyar kehtay hen kise or Mamta kya cheez hai,
koi un bachon se puche jin ke guzar jati hai MAA,
Chahe hm khushion me MAA ko bhul jaen dosto,
Jb musibat sr pe aati hai tu yaad aati hai MAA.

Ek aur baat mani

Ek aur baat mani
Ek aur zakham khaya
Khud hum ne apne hathoon
Dil ka diya bujhaya

Hum bhi the kitne nadaan
Kaisa freeb khaya
Aandi main hum ne apne
Dil ka diya jalaya

Kabhi aye dil zubaan par
Koy shikwa na lana
Mohabbat k moqadar main
Likha hay umar bhar
Aansu hi bahana

Hay roshani k piche
Lakhon ghamon ka saya
Aandi main hum ne apne
Dil ka diya jalaya

Hain yun armaan dil main
K hoon kaydi kafas main
Tumain ab bhul jana
Naheen hay apne bas main

bhala deen ge kahan tak
Dil pe pehra sangdil
Duniya ki rasmain
Tum aur yaad aye
Jitna tumain bhulaya

Humain yeh kiya khabar thi
Tumain khona pare ga
Tumain apna bana k
Dil laga k
Aik din rona bhi pare ga

Joothi hansi ki khatir
Ashkoon ko hay chupaya
Aandi main hum ne apne
Dil ka diya jalaya

Tum zindagi ko gham ka

Tum zindagi ko gham ka
Fasana bana gaye
Aankhon main intezar ki
Duniya basaa gaye

Tum se thi mere pyaar ki
Duniya basi huy
Tum se thi zindagi ke
Andehre main roshani
Tum kiya gaye
chirag_e_mohabbat
bujhaa gaye

Duniya ujhar gayi
Mere sabro karaar ki
Ro ro k raat kaat ti houn
Intezaar ki
Jab chand par nazar pari
Tum yaad a gaye

Tum zindagi ko gham ka
Fasana bana gaye
Aankhon main intezar ki
Duniya basaa gaye

Hum to yun apni zindagi se mile

Hum to yun apni zindagi se mile
Ajnabi jaise ajnabi se mile

Har wafa aik jurm ho goya
Dost kuch waise berukhi se mile

Phool hi phool hum ne mange the
Daag hi daag zindagi se mile

Hum to yun apni zindagi se mile
Ajnabi jaise ajnabi se mile

Surat surat kya karti ho

Surat surat kya karti ho
Surat main koi dum nahi
Agar tum khud ko samajhti ho Madhuri
Hum bhi Shahrukh say kum nahi

Khuda Kare Ki Tujhe Aisi Beemari Lage
Tu Budhape Mein Bhi Kuwari Lage
Darjan Ho Jayein Bacche Tere
Tu Phir Bhi Hum Ko Pyari Lage

Tanhaye woh bimari hai
Jiska doctors kay paas ilaaj nahi
Hum is bimari say bach saktay hain
Agar tumko shaadi say inkaar nahi

Tere baap ko shadi main nahi boolayengay
Budha phir say satthhiya gaya
To hum to jeetay jee mar jayengay

Chalo bhaag kay chaltay hain
Mahoorat ka time nikal jayega
Tere baap kay aanay say pehlay
Apna ticket kat jayega

Jhuka kay phool ki daali
Tum phool tor lena
Hum say dil laga kay phir
Apnay baap saalay
ko chor dena

Yoon bun thhan ker na niklo
Tum ramzan ko chat per
Koi apna roza tor day ga
Tum hain chaand samajh ker

suna hai nazdeekiyaan ehsaas dilati hain

suna hai nazdeekiyaan ehsaas dilati hain..
dooriyan betaabi badhati hain..
par,
jab paas hote hain woh to hum betaab rehte hain…
door jaane par kyon unka ehsaas karte hain…

samandar ko tha garoor gehraayi par apni..
aasmaan ko tha garv oonchaayi par apni…
sharm se zaar zaar ho gaye dono….
jab unhe bataayi humne dosti apni…

aye khuda aaj tujhse iltaza hai meri…
tu rakhna mere dost ko itni hifazat se..
na gamo ka ho saaya us par..
rahe har pal khushiyon ka dera…
kyonki bahut naazuk sa hai yeh dost mera…!!!

dhoond raha hoon main kahin…
mujhe us cheez ki talaash hai…
kho gayi hai mere yaar ki haansi..
koi to bata de kiske paas hai…???

jaaonga uske paas aur poochoonga…
“ab lauta do mujhe woh `muskurahat’…
jo tumne mere dost se cheeni hai…
kya dushmani thi tumhe mere dost ke saath???
ke mujhe thodi saanse aur leni hai….!!!”

naa jaane kahaan kho gayi hai woh hansi..
jo mere dost ke saath rehti thi kabhi..
aye khuda,, meri fariyaad hai aaj tujhse…
Lauta de ,Lauta de, Lauta de,… woh hansi yaar ki..!!!!

muskurahat kuch chhin si gayi hai mere yaar ki…
ke chehra uska kuch murjhaya sa lagta hai….
jaise chaand ko kami ho gayi ho roshni ki..
jaise suraj bhi andhere mein nahaya sa lagta hai..

Aap Ki Baat Maan Li Hum Ne

Aap ki baat maan li hum ne
Apne hathon hi jaan li hum ne

Aaj se bhul jayeen ge khud ko
Aaj se yeh bhi thaan li hum ne

Ronkon se bhara huwa tha nagar
Tere gham ki dukan li hum ne

A gere dhp se sakht matti par
Bin paron k uraan li hum ne

Khud farebi bhi ho gayi mushkil
Jab haqeqat hi jaan li hum ne

Jiske didar pe dil herpal thadap tha hai

Jiske didar pe dil herpal thadap tha hai,
Jiske intezar mein her pal tarastha hai,
Kya kahe is kambhakt dil ko,
Jo apna hoker bhi kisi aur ke liye dhadaktha hai.

dost hote nahi bhol jane ke liye
zindagi milti hai dsot banane ke liye
hamse dosti rakhoge to itni khushi denge
ki waqt hi nahi milega ashu bahane ke liye.

ansu aa jate hai ankhon me rone se pahle,
har khawab toot jate hai sone se pehle ,
ISHQ hai gunah ye to samjh gaya,
kash koi rok leta yeh gunah hone se pahle.

pyar karo thu dokha mat dena
kisi ko aanshu ka tofa mat dena
koi roye tumari yaad me
aaisa kisi ko moka mat dena.

Yeh Mehfil

Yeh mehfil jo aaj saji hay
Is mehfil main hay koy hum sa
Hum sa ho to samne aye
Aanch shama k husn ki pa kar
Sholon ko ata hay pasina
Aankh utha kar hum dekhen to
Pathar ka bhi dharke sena
Hum ne aankhon ki masti se
Naye naye sagar chalkaye
Hum sa ho to samne aye
Pyar ki mehromi ka shikwa
Aur hi loog kya karte hain
Is duniya main jo bhi chayeen
Hum to cheen liya karte hain
Phool se hum ne khushbo chene
Seep se hum ne moti paye
Hum sa ho to samne aye

Mohabbat Shayari

Mohabbat k Nagar Main
Yaad meri jab had se bhar jaye
Dil nadan jab sanbla na jaye
Man ko jab koy acha na lage
Aankhon ki badliyan barsne lageen
Chupke chupke milne a jana
Tumare intezar main
Bathe hoon ge hum
Shehar ulfat k saye main
Pyar se kahna
Mohabbat k nagar main
Hum donon wapas
A ab loot chaleen

Ye Zaruri to Nahi : Hindi Shayari

Zindagi khushiyo ki basar ho ye zaruri to nahi
Neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
Us ki aagosh me sar ho ye zaruri to nahi

Tute dil ki daraaro se nikal jaate hain log
Tute dil me kasar ho, ye zaruri to nahi

Aati hai koi khushnuma raat hi lambi
Har shaam be-sahar ho, ye zaruri to nahi

aur
Zukai tu ne nigaah, to likhi ghazal maine
Tera yaar bhi ‘Zafar’ ho, ye zaruri to nahi

Main kya karun…!!!

kabhi palkon pe kabhi hothon pe tu aa jaye
mere dil me ek hulchul si macha jaye

palkon ki kaiad se jab chhute tu
mere rukhsaron pe jalte laawe sa asar dikhaye

fir ek pal me jab teri baatein yaad aaye
tu mere hothon pe yun chaa jaye
jaise tabassum ki ek buund aasmaan se tapak jaye

ab ye haalat hai mari k na keh sakun na reh sakun
haal-e-dil bayan na kiya jaye to main kya karun

tu ek pal ko bhi mujhse juda hota nahin
fir bhi tujhe na chhua jaye to main kya karun

tu hi bata meri zindagi aaj raaz gehra ye
uske bin tu bhi na bhaaye to main kya karun…!!!

Add 'Shayari' to Your Orkut

If you would like to add “Hindi Shayari” to your Orkut profile, you need to follow these steps:
1. Login to your Orkut account.
2. Copy the link http://merishaayari.blogspot.com/feeds/posts/default
3. Open up a new browser window, or tab, and click on the “add stuff” link on Orkut.
4. Simply paste the RSS feed URL you copied from merishaaryari.blogspot.com.In into the blank “Url” field on this page.
5. Click on the “add” button when you are ready to link your feed.
6. Your Daily Shayari RSS feed will now be linked to your Orkut profile.